Falak pe chand ke haale bhi sog karte hain
Jo tu nahi tu ujale bhi sog karte hain,
Tumhare hath ki chori bhi sog karti hai
Humaray hont k taale bhi og karte hain,
Nagar nagar main wo bikhray hain zulm ke manzar
Humari rooh ke chaale bhi sog karte hain,
Usay kaho ke sitam main wo kuch kami karde
Ke zulm torne wale bhi sog karte hain,
Tum apne dukh pe akelay nahin ho afsurdah
Ti=umhare chahne wale bhi sog karte hain...

0 comments:
Post a Comment