Jahaan Ke Shor Se....

Jahaan ke shor se ghabra gaye kya?
Musaafir ghar ko waapas aa gaye kya?
Na thi itni kari taaza musaafat
Puraanay humsafar yaad aa gaye kya?

Yahan kuch aashna si bastiyan yheen
Jazeeron ko samandar kha gaye kya?

Meri gardan main baahain daal di hain
Tum apnay aap se ukta gaye kya?

Nahin aaya mera jaan-e-bahaaraan
Darakhton par shagoofay aa gaye kya?

jahaan mela laga hai qaatilon ka
Faraz us shahar main tanha gaye kya???

0 comments: