Jism shula hai jabhi jaama-e-saada pahna
Meray soraj ne bhi baadal ka libaada pahna,
Silwatain hain meray chehray pe tu hairat kyon hai
Zindagi ne mujhay kuch tum se zyada pahna,
Khuwahishain yun hi barahna hoon tu jal bujhti hain
Apni chahat ko kabhi koi iraada pahna,
Yaar khush hain ke unhain jaama-e-ahraam mila
Log hanstay hain ke qana'at se zyada pahna,
Yaar-e-pemaan shikan aye agar ke tu usay
Koi zanjeer wafa Aey shab-e-wa'da pahna,
Gherat-e-ishq tu maan'i thi magar main ne Faraz
Dost ka toq sar-e-mahfil a'daa pahna....

0 comments:
Post a Comment