Jo Bhi Daron-e-Dil Hai...

Jo bhi daroon-e-dil hai wo baahar na ayega
Ab aagahi ka zaher zabaan par ayega,

Ab ke bichray ke us ko nadaamat thi is qadar
Ji chahta bhi ho tu palat kar na ayega,

Yun phir raha hai kaanch ka pekar liye howe
Ghafil ko ye gumaan hai ke pathar na ayega,

Phir bo raha hoon aaj inhi saahilon pe phool
Phir jesay mouj main ye samandar na ayega,

Main jaan balab hoon tark-e-ta'alluq ke zaher se
Wo mutma'in ke harf tu us par na ayega....

0 comments: