Mulaaqat Bay Irada Thi....

Jab mulaaqat bay iraada thi
Us main aasoodgi zyada thi,

Na tawaq'qu na intezar na ranj
Subh-e-hijraan na shaam-e-wa'da thi,

Na takalluf na ehtiyaat na zu'am
Dosti ki zabaan saada thi,

Jab bhi chaaha ke gungunaon usay
Shayiri paish pa fataada thi....

0 comments: