Har Tamaashai....

Har tamaashai faqat saahil se manzar dekhta
Koun darya ko ulatta koun gohar dekhta,

Wo tu dunya ko meri deewangi khush aagai
Teray haathon main wagarna pehla pathar dekhta,

Aankh main aanso jaray thay Par sada tujh ko na di
Is tawaqqu par ke shayad tu palat kar dekhta,

Meri qismat ki lakeerain meray haathon main na theen
Teray maathay par koi mera muqaddar na dekhta....

0 comments: