Gaysoo-e-Shaam Main...

Gaysoo-e-shaam main ek sitara ek khayal
Dil main liye phirtay hain tumhara ek khayal,

Baam-e-falak par soraj chaand sitaaray thay
Hum ne bayaaz-e-dil pe utara ek khayal,

Kabhi tu un ko bhi dekhon, Jin logon ne
Umr gunwaai aur sanwaara ek khayal,

Yaad ke shahar ke shor se kaalay koson door
Dasht-e-faramoshi se pukara ek khayal....

0 comments: