Jo ranjishain theen jo dil main ghubaar tha na gaya
Ke ab ki baar galay mil ke bhi gila na gaya,
Ab us ke wa'day farda ko bhi tarastay hain
Kal uski baat pe kyon aetebaar na gaya,
Ab us ke hijr main royen na wasl main khush hoon
Wo dost ho bhi tu samjho ke dostana gaya,
Nigah-e-yaar ka kya hai hui hui na hui
Ye dil ka dard hai pyaray gaya gaya na gaya,
Sabhi ko jaan thi pyari sabhi thay lab basta
Bus ek Faraz tha zaalim se chup raha na gaya....

0 comments:
Post a Comment