Liya tha aik wada aapne mujh say
Hamesha khush hii Rahna
Tu dekh lain aakhir
Meri aankhain dekhen
Ye kitni shookh lagti hain
Meray honton ko dekhain aap
Hamesha muskaraatay hain
Koi ghum agar aaya
Usay hans kar saha main ne
Meray chehray ko dekhain aap
Hamesha pur sukoon hoga
Tu sochain gay
Kiya tha main ne jo aap se
Wo wada pura kar diya
Magar aik baat hai
Kabhi jo aisa hojaye
Aap saamnay ajaen
Phir jo waqt mil jaye
Tu meri shairi parhna
Aap ko mehsoos tu hoga
Kahin talkhi bhara lehja
Kahin pe dard ki lahrain
Kahin lahjay ki karwahat
Suno!!!
Main khush tu hoon lekin
Laho har lafz rota hai....
Laho har lafz rota hai....
Hamesha khush hii Rahna
Tu dekh lain aakhir
Meri aankhain dekhen
Ye kitni shookh lagti hain
Meray honton ko dekhain aap
Hamesha muskaraatay hain
Koi ghum agar aaya
Usay hans kar saha main ne
Meray chehray ko dekhain aap
Hamesha pur sukoon hoga
Tu sochain gay
Kiya tha main ne jo aap se
Wo wada pura kar diya
Magar aik baat hai
Kabhi jo aisa hojaye
Aap saamnay ajaen
Phir jo waqt mil jaye
Tu meri shairi parhna
Aap ko mehsoos tu hoga
Kahin talkhi bhara lehja
Kahin pe dard ki lahrain
Kahin lahjay ki karwahat
Suno!!!
Main khush tu hoon lekin
Laho har lafz rota hai....
Laho har lafz rota hai....

0 comments:
Post a Comment