Aankhain khamosh hogae hain
Palkon pe aasman utha liya hai
Hinaai haathon main chalakta laho
Zameen sairaab kar gaya hai
Tera haseen chehra,
Khaak main amar hogaya hai
Teri dheemi muskurahat
Chitaanon main chatakh rahi hai
Teri dil nawazi
Todoon main pighal rahi hai
Teri haseen zulafain
Nadya ne hain churali
Teray labon ki laali
Thandak main jam gae hain
Saanson ki teray garmi
Khaimoon main naachti hai
teray badan ki khushbo
Jootoon se aarahi hai
Tinkoon ka aashyana
Mazboot hogaya hai
Teray liye ae Janan!!!
Paani ki chand boondain
Aasman main bhi nahin hain
Dhundla sa tera khaka
Dhuwaan horaha hai
Aankhain khaamosh ho gae hain
Palkon pe aasman utha liya hai.....
Palkon pe aasman utha liya hai
Hinaai haathon main chalakta laho
Zameen sairaab kar gaya hai
Tera haseen chehra,
Khaak main amar hogaya hai
Teri dheemi muskurahat
Chitaanon main chatakh rahi hai
Teri dil nawazi
Todoon main pighal rahi hai
Teri haseen zulafain
Nadya ne hain churali
Teray labon ki laali
Thandak main jam gae hain
Saanson ki teray garmi
Khaimoon main naachti hai
teray badan ki khushbo
Jootoon se aarahi hai
Tinkoon ka aashyana
Mazboot hogaya hai
Teray liye ae Janan!!!
Paani ki chand boondain
Aasman main bhi nahin hain
Dhundla sa tera khaka
Dhuwaan horaha hai
Aankhain khaamosh ho gae hain
Palkon pe aasman utha liya hai.....

0 comments:
Post a Comment