Dil main har oz sulagti isi ghum ki lo hai
Jis ki takmeel meri rooh ka weerana hai
Tujh ko har roz bhulanay ki sa'ii karta hoon
Aur har roz yehi soch ke reh jata hoon
Kis tarah khud se karoon tujhko judaa
Meri har saans main
Is tarah se abaad hai tu
Jese phoolon main mahek
Jese gulistaan main saba
Tujh se baatain na sahi
Tujh se qarabat na sahi
Teray jalway na sahi
Teri inaayat na sahi
Meray jeenay ka sahara
Mere lamhoon ka guzar
Sochta hoon teri yaad bhi gar rooth gae
Ya kabhi cheen li Haalaat ke andhyaaroon ne
Na teri yaad ki khushbo
Na tasawwor ki mahek
Wo ghari zeest main shayad ho
FANAA KA LAMHAA....
Jis ki takmeel meri rooh ka weerana hai
Tujh ko har roz bhulanay ki sa'ii karta hoon
Aur har roz yehi soch ke reh jata hoon
Kis tarah khud se karoon tujhko judaa
Meri har saans main
Is tarah se abaad hai tu
Jese phoolon main mahek
Jese gulistaan main saba
Tujh se baatain na sahi
Tujh se qarabat na sahi
Teray jalway na sahi
Teri inaayat na sahi
Meray jeenay ka sahara
Mere lamhoon ka guzar
Sochta hoon teri yaad bhi gar rooth gae
Ya kabhi cheen li Haalaat ke andhyaaroon ne
Na teri yaad ki khushbo
Na tasawwor ki mahek
Wo ghari zeest main shayad ho
FANAA KA LAMHAA....

0 comments:
Post a Comment