Safar Tanha Nahin Kartay....

Safar tanha nahin kartay
Suno aisa nahin kartay
Jesay shaffaaf rakhna ho
Usay maila nahin kartay
Teri aankhain ijazat dain
Tu hum kya kya nahin kartay
bahut ujray howe ghar main
Bahut socha nahin kartay
Safar jis ka muqaddar ho
Usay roka nahin kartay
Jo mil kar khud se kho jaye
Usay ruswaa nahin kartay
ye oonchay pairr kesay hain
Kabhi hansnay se dartay hain
Kabhi roya nahin kartay
Teri aankhon ko parhtay hain
Tujhay dekha nahin kartay
Waqas se pochlo janan!!!
Ke hum soya nahin kartay
Safar tanha nahin kartay....

0 comments: