Agar Kabhi Meri Yaad Aye!!!

Agar kabhi meri yaad aye
Tu chandni raaton ki naram dil geer roshni main
Kisi sitaray ko dekh lena
Agar wo nakhl falak se urh kar
Tumharay qadmoon main aagiray tu
Ye jaan lena,
Wo istia'ara tha meray dil ka
Main aos ke qatron ke aaino main tumhain milonga
Mujhay gulabon ki pattiyon main talaash karna
Main khushyon ki soorat tumhain milonga
Agar sitaron main
Aos ke qatron main
Khushboun main na pao mujhko
Tu apnay qadmoon main dekh lena
main gard hoyi musaafaton main
Tumhain milonga
Agar kabhi meri yaad aye....

0 comments: