Tasweer-o-Tasawwor....

Tasweer se bahel jaye dil tu haqiqat se kya haasil
Tasweer se kahin aks tasawwor bikhar na jaye,

Haan banai thi tasawwor main aik tasweer hum ne kabhi
Haqiqat tu tasawwor se kahin barh kar nikli,

Lekin tazaad-e- Tasweer-e-haqiqat ka yahan maar gaya
Dost tu bara dilbar tha lekin bewafai uski fitrat thi,

Hai jahan main bhi tehi tazaad ae mere chaaragar
Miktay hain galay khushi se baghl main churi lekar,

Zindagi hai tu jeena hai hum jeetay hain tasawwor lekar
Dartay hain tasawwor bikhar na jaye haqiqat ban kar....

0 comments: