Tujh Se Milnay Ko Kabhi....

Tujh se milnay ko kabhi hum jo machal jatay hain
Tu khyalon main bahut door nikal jata hoon,

Gar wafaon main sadaqat bhi ho Shiddat bhi
Phir tu ehsaas se pathar bhi pighal jatay hain,

Uski aankhon ke nashay main hoon jab se doba
Larkharatay hain qadam aur samnbhal jatay hain,

Bewafai ka mujhe jab bhi khayal aata hai
Ashk rukhsar par aankhon se phisal jatay hain,

Pyar main ek hi mosam hai baharon ka Faraz
Log mosam ki tarah kese badal jatay hain....

0 comments: