Ummeed...

Kisi ki yaad dil main hai koi ehsaas baqi hai
Badaltay mosam ke darmiyan ek raaz baqi baqi hai,

Abhi main safar main hoon milaygi manzal mujhay
Magar un raaston ke darmiyan ek saath baqi hai,

Kahin pe shaam dhalti hai kahin pe raat hoti hai
Abhi tu chaand hai chaandni raat baqi hai,

Chalay aao kisi din tum humara haal bhi dekho
Humara jism murda hai magar ek saans baqi hai....

0 comments: