Tum jo meri baat suno....

Tum jo meri baat suno
Ek qissa tumhain sunata hoon
Ye Qissa nahin zamanay ka
Ye qissa hai parwaanay ka
Jo pal pal jeeta marta tha
Jo pyar bahut hi karta tha
Har baat usay ma'loom tu thi
Ek baat magar wo bhula betha
Shama ko haasil karnay main
Wo apna aap jala betha
Yun ishq ki had se guzarnay main
Parwaanay kay Jal Marnay main
Ab jagti hai na soti hai
Shama bhi ab har pal roti hai...

0 comments: