chalo ik baar phir say ajnabi bun jiaen hum donoun
na main tum say koi umeed rakhoun dil nawazi ki,
na tum meri taraf daikho ghalut andaaz nazroun se
na meray dil ki dharkun larkhariay meri batoun se
na zahir ho tumhari kush ma kush ka raaz nazroun se
tumhain jo koi anjuman rooktee hy paish qadmee se
mujhay bhi loag kehtay hain k yeh jalway paria'ay hain
meray humrah bhi ruswaieeyaan hain meray mazee ki
tumharay sath bhi guzree huwi raatoun k sia'ay hain
taruf roog ho jiay to us ka bhoolna behtur
talluq boojh bun jiay to us ka toorna acha
wo afsaana jisay anjaam tuk lana na ho mumkin
usay ik khoobsurat moor day kar choorna acha
chalo ik baar phir say ajnabi bun jiaen hum donoun

0 comments:
Post a Comment