Chiraagh-e-Shub...

Chiragh-e-shab tha ya aaftaab na dil samajh saka na mein
Wo taabeer thi ya mehz khuwaab na dil samajh saka na mein

Wo nazar jo tamaam umar jhuki jhuki hi rahi
Merey liye thi betab na dil samajh saka na mein

Sab se anjaan apni hi dhun mein khoya khoya sa magar
Wo tha khuli kitab na dil samajh saka na mein

Wo jaan-e-mehfil jo mujh se ghaafil par meri hi amad ka
Rakhta tha barha hisab na dil samajh saka na mein

Meri talkhiyun ko sehna merey tanz pe muskuraana
Wo shakhs tha la jawab na dil samajh saka na mein

0 comments: