Main Is Hisaar Se Nikloon Tu...

Main is hissar say nikloon to kuch aur sochoon
tumhaaray pyar say nikloon to kuch aur sochoon

Teri gali kay alawa bhi aur qarye hain
jo is dayar say niklon to kuch aur sochoon

Tumharay hijar ki sadiyaan tumhaaray wasal kay din
main is shumaar say nikloon to kuch aur sochoon

Racha hai tera ISHQ meri pouron main
main is khumaar say nikloon to kuch aur sochoon

Yeh mujh main kaun meri raat din sambhalta hai?
is ikhtiar say nikloon to kuch aur sochoon

Yeh beqarari meri rooh ka ujaala hai
main is qarar say nikloon to kuch aur sochoon...

0 comments: