Na Haara Hai Ishq...

na haaraa hai ishq na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai

sukuun hii sukuun hai Khushii hii Khushii hai
teraa gham salaamat mujhe kyaa kamii hai

charaagon ke badale makaan jal rahe hain
nayaa hai zamaanaa naii raushanii hai

aray o jafaaon pe chup rahne vaalo
Khaamoshii jafaaon kii taaiid bhii hai

mere rahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qariib aa gaii hai

'Khumar' ek baalaanosh tuu aur taubaa
tujhe zaahidon kii nazar lag gaii hai.....

0 comments: