Wo Ameer Howay...

wo ameer hoaey mere rat din
teri chah main jo guzar gaey

woh gulab ban k khilay rahe
wohi khushbo bn k bikhar gaey

teri guftagu main hain talkhiyan
teri chahton pe to shak nahi

kabhi dilbari se jo bat ki
to wafa k rang nikhar gaey

na sitmagari ka ho shaeba
na lagay karam ka woh moaamla

kabhi hans diye bina bat k
kabhi besbab bikhar gaey

yeh dilo jigar main khilay hoaey
teri chahton k jo phool hain

inhain mosmon se garaz nahi
yeh teri nazar se sanwar gaey

tera har khyal jhatak k hum
kabhi mutmaen bhi hoaey agar

teri yad aii daffatan
hum idhar gaey udhar gaey

kabhi ub na tujh se milain gae hum
kaii bar socha kiye

wahin dil tarap k machal utha
teri chah se jo mukhar gaey

kabhi harf harf wohi kia
jo teri zuban se adda hoa

yeh ajab junnon ki kaifiat
tere lafz mujh main uttar gaey

0 comments: