Janay Kis Baat Ki...


jane kis baat ki woh mujh ko saza deta hai,
meri hansti hui ankhon ko rula deta hai,
ek muddat se khabar bhi nahi teri,
kiya koi is tarha apno ko bhula deta hai?

Umar ki rah me raste badal jate hain,
waqat ki andhi mein insan badal jate hain,
Sochte hain thumain aitna yaad na karain lekin,
Ankhain band karte he irade badal jate hain.

Haqeqat na pouch mere afsany ki,
Tery jate he badal gai nazar zamany ki,
log pochtay hain main khush kyon nahi,
kya kahon unhe k meri adat thi tere sang muskurane ki

tarasti nazron ne har pal us ka sath manga,
jaise asman ne raat main chand manga,
roth gaya woh khuda bhi hum se,
jab hum ne har dua main tumhara sath manga

1 comments:

Mahmood Yaqub said...

Is tarah woh meri chahat ka sila deyta hai...
jab bhi milta hai bicharney ki dua deyta hai...
zahar deyta hai mujhay aisi ada say woh raaees...
koi dekhay to yeh samjhey kay dawa deyta hai...