mere hi lahu par guzar auqaat kare ho
mujh se hi amirun ki tarhan baat kare ho
din ek sitam ek sitam raat kare ho
who dost ho dushman ko bi maat kare ho
hum khaq_nashin tum suKhan_aare sar-e-baam
paas aakar milo duur se kiyaa baat kare ho
hum ko jo mila hai who tumhin se to mila hai
hum ur bhulaa den tumhen kiya baat kare ho
yun to munh pher ke dekho bhi nahi ho
jab waqt paDre hai to madaaraat kare ho
na daman pe koii chinT na Khanjar pe koii daaG
tum qatal kare ho ke karaamaat kare ho
bakane do "Aajiz" ko jo bole hai bake hai
diivanaa hai diivane se kiya baat kare ho...

0 comments:
Post a Comment