Tamam Lamhay...

Tamam lamhay teri yad kay hawalay hain
ki main nay subho masa is tarah guzaray hain

ye phool.. rang.. Dhanak .. Kahkashain.. bahro bar
ye sab khuda ki muhabbat kay istayaaray hain

main pochta hon katay kis tarah shabay furqat?
Wo bolti hai ginoo jis qadar sitaray hain

main bolta hon hawa main teri mehak si hai
wo bolti hai ki "han sab meray ishaaaray hain

main pochta hon falak pay ye bijliyan kaisay?
Woh bolti hai wahan bhi meray shararay hain

main pochta hon mujhay chor to nahi do gi?
woh bolti hai kia darya alag kinaray hain?

main bolta hon mulaqat chahiya mujhko
woh bolti hai ki " kiyuuuun !! Ab to hum tumharay hain

main bolta hon mujhay ARSH kiyn nahi kahteen
woh bolti hai zuban par sharam kay talay hain

main bolta hon meri zindagi bano gi kab
woh bolti hai ki ab faislay tumharay hain

0 comments: