teri judai mein dil bekraar na karu
tu hukam de toh tera intzaar na karu
bewaffai karni hai toh iss kadar kar
ke tere baad main kisi se pyar na karu
*
hum hi thehre saza war aur khata kuch bhi nhi ...
tu kya samjhta hai tere baad hua kuch bhi nhi ...
yaad jab aayi, teri aayi aur raha kuch bhi nhi ...
dil ne bas aah bhari aur kaha kuch bhi nhi ...
waqt ki tarah ye sansein bhi rawaan hain ab tak ...
ik bas ashk thamy aur ruka kuch bhi nahi ...
haath se haath choda kar gaya jab se tu ..
maine uss waqt se in haathon se chhua kuch bhi nahi ...
kaash tu mujhse keh de achank aa kar,,
ke tere baad mere jiwan mein bachha kuch bhi nahi ...!!
*
tarikh raato ka malaal na kar
subah hone ka thoda intzaar toh kar
milegi rehmat jahan mein tujhko bhi
jholi faila kar khuda se faryaad toh kar
milega dariya-e-saahil tujhko bhi
tufaa ke thamne ka intzaar toh kar
deta hai kaun saath tang_dasti mein
thoda mujh par bhi aitbaar toh kar !!!

0 comments:
Post a Comment