Har Ek Jaanib...

Har ek jaanib samandar hai kinara kyon nahin milta
Meray moula bata mujhko sahara kyon nahin milta,

Mujhay is shahar main din bhar hazaroon log miltay hain
Jisay main dhoondnay nikloon Wo pyara kyon nahin milta,

Jisay chaha, Jisay pooja, Jisay socha, Jisay likha
Meray moula mera us se sitara kyon nahin milta,

0 comments: