Main Ne Aaghaz Se....

Main ne aaghaz se anjaam-e-safar jana hai
Sub ko do chaar qadam chalkay taher jana hai,

Ghum wo sahraa-e-tamanna ke bagolay ki tarah
Jis ko manzil na mili us ko bikhar jana hai,

Teri nazron main meray dard ki qeemat kya thi
Meray daaman ne tu aanso ko Gohar jana hai,

Ab ke bichray tu na pehchaan sakengay chehray
Meri chahat teray pindaar ko marjana hai....

0 comments: