Main tu maqtal main bhi qismat ka sikandar nikla
Qara-e-faal meray naam ka aksar nikla,
Tha jinhain za'am wo darya bhi mujhay main dobay
Main ke sahra nazar aata tha samandar nikla,
Main ne us jaan-e-baharan ko bahut yaad kiya
Jab koi phool meri shaak-e-hunar par nikla,
Shahar walon ki muhabbat ka main qaa'il hoon magar
Main ne jis haath ko choma wohi khanjar nikla...

0 comments:
Post a Comment