Qurb-e-Jaana....

Qurb-e-jaan a ka na maykhanay ka mousam aaya
Phir se bay sarfa ujarr janay ka mousam aaya,

Kanj-e-eghurbat main kabhi gosha-e-zindaan main thay hum
Jaan-e-jaan jab bhi teray aanay ka mousam aaya,

Ab laho ronay ki khuwahish na laho honay ki
Dil-e-zinda teray marjanay ka mousam aaya,

Koocha-e-yaar se har fasl main guzray hain magar
Shayad ab jaan se guzar janay ka mousam aaya....

0 comments: