Abhi Kya Kahain....

Abhi kia kaheen abhi kia suneen
k ser-e-faseel-e-sukoot-e-jaan
kaf-e-rooz-o-shab peh sharar numa
woh jo hurf hurf chiraagh tha
usay kis hawa nay bujha dia
kabhi lab hileen gay to poochna

ser-e-sahar-e-ehd-e-wisaal-e-dil
woh jo nikhatoon ka hujoom tha
usay dast-e-mooj-e-firaaq nay
tah-e-khaak kab say mila dia
kabhi gul khileengay to poochna

abhi kia kaheen abhi kia suneen
younhi khuwahishoon k fishaar main
kabhi bay sabab, kabhi bay khayal
kahan kon kis say bicher gaya
kisay kis nay kaisey ganwa dia
kabhi phir mileen gay to poochna

0 comments: