Bahut Purnam Hain Ye Aankhain

Bahut purnum hain yah ankhien,bahut bechain hai yah sansian
khalish c uthate hai dil main jo yaad aati hain guzri satain

munzil dikha kur baharoon ki as laga kur kahan kho gaey ho
kuroon kb talak intizar laga kur seenay say teri soghatain

Ajub sawal talashtay hain,kia batlaoon main iss zamanay ko
kiun na rachi mehndi,kiun na goonji shehnaian na barataain

tarap uthtay hain jism-0-jan,dil khoon kay ansoo roata hai
sakoon say sonay nahi daiteen neend main bhi, teri ahatain

mana purkhar hai rahe-ishq, mugar safar he hai apna muqadar
ho tum sada nazan is naseeb pay,milain tujhay teri chahtain

kitna sehal hai kehna bhool jao humain,kathan bahut hai kurna
badal he jain gay rafta rafta joa umar bhur thee teri adatain

kitna nadan tha dil jo itnay khawab in ankhoon main basa dalay
bahut baytab rakhti hain taberain,teray hijar mai doobi ratain

kis ko mehram-e-raaz banaey somi koi bhi is ka karb na janay
phir tham lia khud he anchal,aur poonch lein us nay yah ankhien

0 comments: