Tum Bhi Ajeeb Ho...


Tum b ajeeb ho kehtay ho bhool jao
tum he batlaoo main kia kuroon !!!!
jub yad ata hai!!!!!!!!!!!
woh barish main khushi say jhoomna
woh teri bahoon ki garmee k liay
chultay chultay yoon hi larkhra jana
woh sung baith kur asmaan tukna
phir khud ko un taroon say milana
woh chandani raat ko hur bar kehna
"mera chand jaisa koi nahi"
woh bawajah youn he khil khalana
kuch jhootay say waday kurtay jana
woh dil ki batoon ko yoon chupana
aur ankhien mainsub kuch kehna
woh aik khut ko bar bar yoon purhna
k main tum say kitna piar kurtey hoon
woh apni hath ki lakeeron ko tatolna
woh hur baat ko yoon yaad rukhna
goya koi sahefa ho
woh baithay baithay bayikhtiar
ek dosary main kho jana
woh doori ki chund garioon main
un batoon ko yad kur k hunsana
woh khyaloon ki rahoon main
hath thamay jhoomtay rehna
woh mehndi k hur rung ka
tumharay piar say mehkna
woh sub batain mujhay bechain rukhte hain
aur tum b ajeeb kehtay ho bhool jaoo!!!
kaisay maan loon k ub
sawan main hum sath nahi hongay
tumhray jazboon ki garmee
main main nahi hoon
tmharaya dilki gehraioon main main nahi hoon
tmharay chand sa koi aur b hai
kaisay manon k yah khut akhri hain
bhool jaoon jo khayaloon main
tumharay jazbon ka lums tha
behlaey b dil nahi behlta
k ubun bahon main koi aurhai
k ub merey mehndi main kabhi
koi piar ka rng nahi ho ga
k ub mujhay girtay girtay
koi thamany wala na ho ga
tum he koi rasta batla doo
haan ek rusta hai merey nazar main
yoon hehur bar jo tumhae yad aey to..
purani yadain taza kur k waqt bita loon...
suno!! tum ghum na kurna
meri zindagi kum aur yadain kaseer hain....
phir kehtay ho bhool jaoo!!!

0 comments: