Wo Mujhsay Ye Nahin Kehta...


wo mujh se ye nahin kehta
usay mujh se mohabbat hai
magar woh aaj kal
eik junoon ki zad main rehta hai
ajab eik bekhudi si hai
jo usay bechain rakhtii hai
woh mujh se baat karta hai
bauhat hi aam si,mausam ki,logon gi
mehaz duniya ki rasmi si
woh mujh se baat karnay ke bahanay dhoondta ha
in hawalon se
samajhta hai us ki aam si baaton ko
main "yunhi"samajhta hon
wo milta hai mujhay aksar bahanon se
ke main guzra yahan se to socha baat hi kar lon
samajhta hai main us ke in bahanon ko na janon ga
kabhi jo bat karta hai
to us ki mohabbat us ke lehjay se chhalakti hai
mujhay bechain karti hai
wo mera dehaan rakhta hai
meri har baat ko hi
bin kahay woh jaan leta hai
samajhta hai wo ye phir bhii
ke us ne khud ko chhupa rakha hai khud hi se
magar aksar
wo khud anjanay main apna ye parda chaak karta hai
ke jab meri bauhat pehle kahi hui har baat
ko wo yaad rakhta hai
aur unhi lafzon main mere saamnay
duhra bhi deta hai
yun lagta hai
ke us ne meri kahi har baat ko yun yaad rakha hai
wo jaise 1 sahifa hon
wo mujh se ye nahin kehta
ke us ki khwahish us ko buahat bechain rakhti hain
ya shayad in dinon wo khud se bhi chhupaata hai
magar
us ki nigahain aksar usay nakaam karti hain
ke saaray jaam ulfat ke wo bhar bhar kar lutaati hain
wo darta hai kahin wo kho na de mujh ko
ke koi baat us ki mujhko us se duur na kar de
wo mujh ko sochta hia
jaagta hia raat bhar wo bhi
magar shayad abhi usko mohabbat main
khamoshi se hi jalna hai
ke wo jab tak parh nahin letaa
ye aankhain jin main ke us ka naam likha hai
ke mere laho ki gardishon main raqs karti chahatain us ki
wo jab tak pa nahin leta
samajh leta nahin jab tak
ke main bhi gaamzan hon
khamoshi se us ke rastay par
main bhi jaagta hon sochta hon raat bhar us ko
magar us se nahin kehta

0 comments: