Tanha..

main jub tanha sa hota hoon
andheron main gum hota hoon
bohat kamzore hota hoon
kay shaid girnay lagta hoon
waheen tum muskuratay ho
mujhay tum yaad aatay ho

tumhain panay ki koshish main
main khood ko bhi ganwa betha
andheron ki jo basti hay
usay apna bana betha
sitaron ki tarah tum bhi
bohat door jagmagatay ho
abhi tak kay satatay ho
mujhay tum yaad atay ho

na janay kis zamanay ki
kahani hay fasana hay
mujhay to aisa lagta hay
kay sadiyoon wo purana hay
meray sang sang chaltay thay
har aik pal sang rehtay thay
magar ab gum hoay ho yoon
kay dil main aag lagatay ho
mujhay tum yaad aatay ho

0 comments: