Meri Tarah Se Tha...

mari tarha se tha khud se dara hoa wo b
chein k mujh se mohabat, lut gaya wo b

na jane kaise kattey ga zindagi ka safar
bus ek lamhe ko sahi, per sochta wo b

tamam logo ne dekha tha mere zakhmo ko
ay kash ek nazar mujh pe dalta wo b

waqt-e-rukhsat mare ankh na hatti us se
jate jate hi magar mur k dekhta wo b

wo mair pehli mohabat ka pasban na bana
or duniya ki tarha nikla bhairiya wo b

jis tarha dil ne mere uski tamanna ki hai
isi tarha se kabhi mujh ko mangta wo b

0 comments: