Ulajhta Chorr I Thi...

ulajhta chorr i thi main usko
faisley pe abhi pohanaha k nahi

dekh kar chand ya hatheli ko
us ne mujh ko kabhi socha k nahi

khali nazron se khalaon main kabhi
mera chehra bhi tarasha k nahi

sari duniya ko samajhney wala
kiya abhi b mujhey samjha k nahi

jis ko wo roz manata ho ga
us se khud b kabhi rootha k nahi

0 comments: