Mana ke wo mujhay apni nigahoon se giraaen
Lekin meray ehsaas tu thukra nahin saktay...
Zara insaaf karo aey meray qismat dekhnay walo
Kahin dekhay bhi hai aisi museebat dekhnay walo...
Wahan ab tak suna hai sonay walay chonk partay hain
Sada detay howe jin raaston se hum guzartay hain...
Nahin aati tumhari yaad tu barso nahin aati
Magar jab yaad aatay ho tu aksar yaad aatay ho...
Apni tabahiyon ka mujhay koi ghum nahin
Tumnay kisi ke saath muhabbat nibha tu di...
Qareeb aake jisay jo kuch bhi kehna hai kahay mujhsay
Ye itni doryon ke ba'ad awaaz pehchaani nahin jaati...
Laga raha hoon mazameen-e-louj ke ambaar
Khabar karo meray farhan ke khoshta haseenon ko....
Ya rabb nigaah-e-naaz pe license kyon nahin
Ye bhi tu qatl karti hain talwaar ki tarah...
Ab aap aagaye hain tu aata nahin hai yaad
Warna humain kuch aap se kehna zaroor tha...
Meray pehlo main jo betho tu samnbhal kar betho
Dil-e-betaab ko aadat hai machal janay ki....

0 comments:
Post a Comment