Hazaron hasratain jaengi meri saath dunya se
Shar aur bar se bhi arsa-e-hasti ko kam jana....
Roz peeta nahin pee leta hoon gaae gaae
Wo bhi thori si maza munh ka badalnay k lie....
Khafa ho tu ye pochon ke teri jaan se door
Jo teray hijr main jeeta hai mar bhi sakta hai....
Mujh tak is mehfil main jaam-e-sharab aanay ko hai
Umr rafta palti aati hai shabaab aanay ko hai
Ibtidaa-e-ishq hai lutf-e-shabaab aanay ko hai
Sabr rukhsat ho raha hai iztiraab aanay ko hai
Is patay se pochna qissa merai dildaar ka
Chaal matwali uski aur shabaab aanay ko hai....
Jo ghum bay asar na ho jo shub bay sahar na ho
Wo ghum intezaar kab wo shub intezaar kya???
Sun kar tera naam nazrain khol deta tha koi
Aaj tera naam lekay koi ghaafil ho gaya...
Tasawwur kya tera aaya qiyaamat aaga dil main
Ke ab har dildada baahar mazaar-e-dil se niklega
Teri tirchi nazar ka teer Badi mushkil se niklega
Dil is ke saath niklega aga ye dil se niklega...
Na tha agar tu mehfil main qusoor tera tha ya ke mera
Mera tareeqa nahin rakhlun kisi ki khatir ma-e-baana...
Bulbul ko khuda par day ya pada nasheen karday
Ishq ko khuda zar day ya zair-e-zameen karday....
Khud phansi phanday main bulbul kya khata sayyaad ki
Gul pe aashiq ho ke main ne zindagi barbaad ki....

0 comments:
Post a Comment