Ash'aar...

Jafa jo ishq main hoti hai Wo jafa hi nahin
Sitam na ho tu ishq main kuch maza hi nahin...


Parwana tujh se karta hai aey shama itna pyar kyon?
Ye jaan beqaraar hai honay ko tujh pe nisaar kyon???


Tujh ko falak ne mujh se churaya tu kya hoga
Kya teri yaad bhi meray dil se nikal gae...


Is ishq ki manzil pe qadam soch ke rakhna
Suna hai muhabbat ke kandhay nahin hotay....


Aa sitamgar apna apna hunar aazmaen
Tu tera aazma hum apna jigar aazmaen...


Pareshan hoon ke meri khaak aakhir dil na ban jaye
Jo shakal ab hai ya rabb phir wohi shakal na ban jaye
Urooj aadam-e-khaaki main anjum sahmay jatay hain
Ke ye toota howa tara kahin kaamil na ban jaye...


Ab tu socha hai ke pathar ka sanam poojonga/
gar ghabraon tu takra bhi sakoon mar bhi sakoon...


Amal se chashm poshi aur shikwa teer ranji ka
Muqaddar muft main badnaam kyon hai hum nahin samjhay....


Aankhain na chalaya karo har baar kisi se
In baaton pe chal jayegi talwaar kisi din...


Aaye tu azaan hui gaye tu hui namaz
Itnay qaleel arsay main kya aaye aur kya gaye???

0 comments: