Ajal jo aye tu apna bhi kaam hojaye
Tamam umr ka qissa tamam hojaye
Nahin khuwahish ke marjayen jaanisar teray
Yehi bahut hai ke jeena haraam hojaye...
Mar kar teray khayal ko taalay howe tu hain
Hum jaan de kar dil ko sambhaalay howe tu hain...
Pyar mujhay mannan se hai ghuyoor aur shahid se
Is dunya main pyar hamesha pyar se milta hai
Husn pe mat utrao dil main pyar ke deep jalao
Ye jismon ka sona tu bazaar se milta hai
Un ka naam jo aajata hai meray honton par
Dushman bhi shahbaaz mujhay kis pyaar se milta hai....
Idher bhi deeda-e-ibrat nigaah ek nazar
Ke ehd-e-shoq ki ek yaadgar hum bhi hain...
Ishq walo ishq main itna asar paida karo
Husn khud majboor ho tum ko bulanay ke liye...
Kaash mera ghar bhi teray ghar ke muqaabil hota
Tu na aata Teri awaaz tu aaya karti....
Zameen kaghaz ki ban jaye samandar ho siyaahi ka
Qalam kuch likh nahin paata ye hoosla hai judaai ka...
Yun tu teri yaad main dunya ko bhool jata hoon
Bholnay walay Bata! Kya tujh ko bhi yaad aata hoon main...
Adaa se dekhna Phir meskurana Phir sar jhuka lena
Tumharay waastay tu khel hai dil ka chura lena...
Tapak aey shama Aanso bankay parwaano ki aankhon se
Saraapa dard hoon hasrat bhari hai daastaan meri...

0 comments:
Post a Comment