Ash'aar...

Teray sheeshay hi baaqi nahin hoon bata kya tu mera saaqi nahin
Samandar se milay piyaasay ko shubnum bukhli hai hai ye razzaqi nahin...


Ye dunya runj-o-raahat ka ghalat andaaz karti hai
Khuda hi khoob waaqif hai kisi par kya guzarti hai...


Qasam kha'i hai yaro us ne meray ghar aanay ki
Jo tum se aasakay tu kar ke kuch tadbeer le aao...


Ye naqsha hogaya mera soodaye muhabbat main
Meri soorat meray yaaron se pehchaani nahin jaati...


Tum ne kiya na yaad kabhi bhool kar humain
Hum ne tumhari yaad main sub kuch bhula diya....


Abhi na cher muhabbat ke geet aey Zaalim!
Abhi hayaat ka mahool khushgawar nahin...


Tera milna khushi baat nahin
Tujh se milkar udaas rehta hai...


Teri laagai hui aag hashr tak na bhuji
Howe mar kar bhi na thanday teray jalaye howe....


Bus ab tu daaman chor do baykaar ummedon
Bahut dukh seh kiya main ne Bahut din jee liya main ne
Abhi zinda hoon lekin sochta rehta hoon khalwat main
Ke ab tak kistamanna ke saharay jee liya main ne....

0 comments: